Woh subah to aayegi,Ek Nayi Zidagi sajane k liye...
Inn kaale sadiyon ke sarr se, jab raat ka aanchal sarkega
Jab dukh ke badal pighalenge, jab sukh ka sagar chhalkega,
Jab (aasmaan) jhoom ke nachega, jab dharti naghmein gaayegi,
Woh subah to aayegi,Ek Nayi Zidagi sajane k liye...
Mana ke abhi tere mere, armanon ki kimat kuchh bhi nahin,
Mitti ka bhi hai kuchh moal magar, insaanon ke kimat kuchh bhi nahin,
Inn bhukhe pyaase hothon pe, eik din tou karam pharmayegi,,
Woh subah to aayegi,Ek Nayi Zidagi sajane k liye...
Daulat ke liye jab aurat ki ijjat se na khela jayega,
Chahat ko na kuchla jayega, ghairat ko na becha jayega
Apni kaali kartuton pe, jab ye duniya sharmayegee,,
Woh subah to aayegi,Ek Nayi Zidagi sajane k liye...
Woh subah to aayegi,Ek Nayi Zidagi sajane k liye...