Aaj Phirse kuch ajeeb laga hai,
teri baaton ko jab dil se lagaya hai,
kisi khaas ki harkaton ko aaj yaadkiya hai,
uski meethi aur natkhati baaton ko mehsoos kiya hai.....
Mere hi log mujhe khoj rahe hain,
na jaane kis baat se dar rahe hai,
zindagi ki raah me humne bahut kuch seekha hai,
meri hi nazron ne mujhe girne se bachaya hai.....
Meri aankho me aaj bhi kuch ashq bache hai,
tumhe yaad karta hun to wo bhi kuch dikhte hain,
mana ki wat ne mere upar sitam diye hain,
lekin us sitam se hi mujhe wo waqt mile hain....
Koshish karta hun uski yaadon ko rakhne ki,
majburiyaan aur kashish bhi nhi manti uski yaadon ko bhulane ki,
socha tha ki hum umr bharka saath denge,
palkon pe bithayenge, uski nazakat dekhenge,
haa wo ho na saka...wo ho na saka ..wo didar -e - manzar,
bus simat ke rah gayi wo aarzoo mere hi andar....
Aaj bhi chahta hun main use is kadrr,
ki pyaar karne walo ko bhi aana pade idhar,
humne door khasthiyon pe uske sath sapne dekhen,
kuch khwab pure hue, kuch pe afsos jataye,
kahin kuch haasil sa hua, kahin kuch toot sa gya,
ab tu uski har chahat aur adaaon me khud ko bhul gaye,
aur unhe laga ki hum unki chahat me badal gye.....
Aj bhi kuch kehte rahe hum, sunti rahi wo,
kaanpne laga rooh, machalti rahi wo,
ab to har ek pal me bhi uski zazbaaton ko dekhta hun,
uski adaaon ko bhi chahta hun, uski badmaashiyaan bhi sahta hun,
kabhi dil ki sunta hun, to kabhi dimag ki,
ab to bus har samay use apne aap me dekhta hun.......
Ab to baat aisi hai , ki har raat ek jaisi hai,
har din ek jaisa hai, har lamha ek jaisa hai,
kuch suni baaton ko sunta hun to,
to kuch ansuni baaton ko samajhta hun,
hum to har lamha zamane ke saath chal rhe the,
aur "unhe" lagta ki hum unse door ho rhe the....
Ab to wada kiya tha ki har ek pal nibhayenge,
ek doosre ke saath hamesha zindagi nibhayenge,
hume kya pata tha hamari kashthi kahan jayegi,
seedhe raste dikha ke, ulte ko jayegi....
Maana ki "pathhar" dil ka kaam kiya tha usne,
humse kuch din ke liye muh mod liya tha usne,
hum bhi kya kam the, "mom" ki tarah kaam kiya humne,
har baaton ko aur zajbaaton ko sambhala maine....
Ab to har ek pal ke liye hum uske "aashiqui" ho gye hain,
aur ek wo hai jo TUM HI HO ...tum hi ho me kho gayi hai.....