Intezaar,,,,,,
Sham ki chaiii hath me le kar socha... kuch waqt kisi khaas ke sath guzara jaye... ek shaqs jisko uske pal-pal ki khabar rehti hai.
Lo chal diye phir us jagah jahan aksar mulaqat hua karti thi. Na to pehle wo jagah itni shant thi na hi aaj.. sukoon bhar ke palon ko khamoshi se dhundhne chaley the , socha mulaqat hogi to bahut se waakya honge aur sawal jawab ki jhadi lag jayegi...
Kadam aage badh rahe the,, jaise kisi khaas se milne jao aur dimag me kai sawal question mark ghoomne lagte hai bilkul wohi chehal-pehal us waqt uske dimag me bhi thi..... aakhirkar pahunch hi gaye.. wo seat aaj bhi yehi kehti hai ki is par bas tumhara hi haq hai jaise wo jagah sirf us hi ke liye bani ho.. bejijhak wo phir se us jagah ja kar baith gyi..
"Haaaan",,, ek awaaz sunai di,,
jo uske kaano me nahi dimag tak pahunch gyi thi...
Aksar aisa tabhi hota hai jab koi apka apna kuch kehna shuru karey aur aapka dimag calculation,duniya daari samaaj sab se door sirf uski baat sunne ke liye ek jagah ekatrit ho jata hai. Bilkul waisa hi ehsaas tha kuch. Ab chehre pe muskurahat na aaye aisa to ho nhi sakta .... per shayad aisa nahi hua.....
Ek gehri saans li aur sawal kataar ban kr bikharne lagey... jisko samaitna bahut zaroori tha... aur isi liye to wo aaj shaam ki chaai ka waqt kisi khaas ke sath guzaarne nikli thi....
Waqt to kisi ke liye rukta nahi,,, ghari to ishare karti hi hai par kudrat se bach kar kahan jayenge?? Sham ka dhalta suraj bhi keh raha tha bas Kuch Hi Waqt Hai Is Lamhe Ke Liye....Bina waqt zaya kiye hath me chai le kar baith hi gaye,,, ab jis kaam ke liye aaye wo bhi to karna tha... Garam- Garm Chaaii Ki ek sip lena aur Intzaar karna kabhi kabhi sach me mushkil ho jata hai.......
Aur phir ek baar Kuch- Baatein adhoori hi sahi........aur ye intezaarrrr bus......
. Intzaar rahega

No comments:
Post a Comment