Mohabbat sirf ahsaas hi rah gaya,
aaya toofan toh kafila bah gaya,
wo utni hi mohabbat kiya karte the,
jitna mazbur unko dil kar gaya...
shayad wo bahut khubsurat thi,
yaa muje unsa koi dikhta na tha,
par jo bhi thi ae - khuda,
dil toh unpe deewana ho gaya...
wafa karenge humse wo,
yeh yakin na kar paye hum,
wo yaad karte rahe hume raton ko,
aur mai pareshan hota hi rah gaya...
berukhi aksar udasi mai badal gai,
unki wafa bhi mujhe dikhti chali gayi,
hum na samajh sake ki wo unka pyar hai,
aur main bus apna pyaar jatata rah gaya...
wo bekhabar thi mujh se,
ki itna pyar main kaise kar sakunga,
wo khud ko sabit kar rahe thi,
aur main khud ko sabit karta gaya...
mera intejaar karna un raaho par,
jaha bichde the hum un jagaho se,
mai ik din fir wahi aaunga,
jaha se tujh ko main chod gaya...
yakin ki shama bujhne na dena,
jo baat hai wo bus apne tak hi rakhna,
duniya me phir milenge hum apne manjilon pe,
kabhi kisi yaadon me mujhe kho na dena...
wo janaje ke piche thi mere,
yaa kahi kone mai baithe ro rahe the,
ab toh ruksat hi achi hai duniya se meri,
warna mout ko main na pahunch gaya...
No comments:
Post a Comment