Monday, February 24, 2014

AgaR KabhI TuM Janna chaaho....ki Mere Liye Kya ho TUM....



Agar kabhi tum jaanna chaaho ki ..
tum mere liye kya ho tu sun lo….

meri har saans mein tum ho
meri har dhadkan mein tum ho
meri har aahat mein tum ho
meri har chahat mein tum ho
mere har lafz mein tum ho...

har naam tumhara naam hai..
har baat tumhari baat hai..
har lafz jo mere lab per hai..
woh tumhara kaha huwa hai..




har lamehin mere zahen mein tum ho ..
har khawab mein tum ho..
har nazar mein tum ho..
har lamhein mere khayyalon mein tum ho..

har yaad tumhari yaad hai,
har yaad mein tumhare yaadein hein..
har chehra mein tumhara chehra hai..
har sitare mein lagta hai k..
tumhara kangan chamak raha hai..
har khushboo tumhare badan ki khushboo lagti hai..


chand mein tumhara chehra dikhta hai..
meri har aadat tumhari aadat hai..
mera yeh jivan tumhare naam hai..
meri zindagi tumhare naam hai..
meri zindagi tum se hai....
AURB BUS TUM MUJHSE HO...MAIN TUMSE HUN...
Kyunki....
Bus TUM HI HOOOOO....


Humesha khush rahoge tum ye wada hai Mera Mujhse aur tumse... Humesha apni zindagi jiyoge pure dil se ye wada Mera hai Mujhse or tumse.....is kaaynaat ki har khushi pe naam tumhara hoga ye wada hai Mera Mujhse aur tumse.....tere har aansun ko chura lenge tumse ye wada hai Mera mujhse or tumse....Tumhari zindagi ..Tumhari dhadkan...Tumhari jeene ki wajah har pal har lamha tumhare sath hi hogi tumhara humsaaya ban ke YE WADA HAI MERA MUJHSE AUR TUMSE........ YE WADA HAI MERA MUJHSE AUR TUMSE......