Wednesday, October 8, 2014

"Wo Zind@gi ke Lamheeeyyyyy....."

 aaj bhi wo adhoore lekh poore nhi kar paaya... ya yun kahu ki mein samay nahi de paya???? 

     Kitni ajeeb baat hai na.......... 

 jo bhi kuch mein likhta hun sochta hun , ye jaanta tak nahi ki isko koi padhta bhi hoga ya isko likhne se kya hoga .. bas likh deta hun kyunki mera mann kehta hai.... Ek time aisa tha jab Maine har jagah apne aapko akela paaya, pata nahi kyu? Hazaaron ki bheedh bhi mujhe akela kar jata ... aur ho bhi kyu na? Mera sapna , mera khwaab , sab mere hi rahe kisi se isko share karne ki koshish bhi nahi ki.. Lagta tha shayad saamne wali mujhe pagal ya ajeeb na kahey .... hahaaaaa ... arreeyy ab hun to insaan hi saamne waley ki soch tak pahunchne ki koshish kabhi nahi kiya isliye Hazaaron ki bheedh sirf bheedh hi lagi koi bhi friend ya koi bhi family member wo jagah le hi nahi paaya..... 

     Shayad ab mein ye kabhi nahi keh sakta .... kyunki Hazaaron ki bheedh ki zarurat mujhe nahi.. shayad mujhe sirf ek wahi khawab ki talaash thi jo sirf mere liye hi ek haqeeqat ban jaye .... :)  

Zindagi bahut hi khubsurat ehsaas hai sach... achchi buri sab situation aapko kuch seekh de kar jaati hai.. Doston se door ek nayi zindagi sochna bhi mushkil lagta hai per baad me sab achcha lagta hai, shayad ishwar ne humare liye kuch na kuch achcha socha hi hota hai... aur agar aise me saath ho kisi apne ka to kuch bhi mushkil nahi.... Har koi muskurana chahta hai ,, chahey wo doston se sath ho ya family member ke sath.... Muskurana aa jata hai...aur aise hi maine kisi ko muskurane sikhaya tha....aaj usse bhi main bahut kuch seekh raha hun....

       Shayad mere liye best part yahi raha... mujhe mauka mila apne aapko apno ko kareeb se jaan'ne ka , ek special duniya ko jaan'ne ka... aur mere liye best best best pal yahi raha....

Ye bhi nahi janta ki har buri situation ko face karne ki himmat mujhme kaise aa jati hai... shayad apno ka pyaar ya  aapki ek smile.. koi gham nahi kabhi kisi baat ka ab... kyunki maine apne khwaab ko haqeeqat bante jiya hai... aur zindagi ne itna khubsurat mod liya ki jahan bhi chalu waha sirf ek special ehsaas hai... ek special ehsaas....

 jise me shabdon me bayaan kabhi nahi kar paungi... yahi kahungi meri zindagi aur us special ehsaas se mujhe bahut pyaar hai...  meri zindagi ne mujhe itna pyaara gift dia ,, mein hamesha us ehsaas ki respect karta hun aur karta karungi....

kyunki us pyaar ne mujhe bahut kuch sikhaya aur isliye uska mpyaar mere kaano me aur dilon me hamesha zinda hai aur rahega.... :)



"InTEZ@@R RaHEGA......."

Intezaar,,,,,,

   Sham ki chaiii hath me le kar socha... kuch  waqt kisi khaas ke sath guzara jaye... ek shaqs jisko uske pal-pal ki khabar rehti hai.


 Lo chal diye  phir us jagah jahan aksar mulaqat hua karti thi. Na to pehle wo jagah itni shant  thi na hi aaj.. sukoon bhar ke palon ko khamoshi se dhundhne chaley the  , socha mulaqat hogi to bahut se waakya honge aur sawal jawab ki jhadi lag jayegi... 

   Kadam aage badh rahe the,, jaise kisi khaas se milne jao aur dimag me kai sawal question mark ghoomne lagte hai bilkul wohi chehal-pehal us waqt uske dimag me bhi thi..... aakhirkar pahunch hi gaye.. wo seat aaj bhi yehi kehti hai ki is par bas tumhara hi haq hai jaise wo jagah sirf us hi ke liye bani ho.. bejijhak wo phir se us jagah ja kar baith gyi..  

  "Haaaan",,, ek awaaz sunai di,,

 jo uske kaano me nahi dimag tak pahunch gyi thi... 

Aksar aisa tabhi hota hai jab koi apka apna kuch kehna shuru karey aur aapka dimag  calculation,duniya daari samaaj sab se door sirf uski baat sunne ke liye ek jagah ekatrit ho jata hai. Bilkul waisa hi ehsaas tha kuch. Ab chehre pe muskurahat na aaye aisa to ho nhi sakta .... per shayad aisa nahi hua.....


 Ek gehri saans li aur sawal kataar ban kr bikharne lagey... jisko samaitna bahut zaroori tha... aur isi liye to wo aaj shaam ki chaai ka waqt kisi khaas ke sath guzaarne nikli thi.... 

    Waqt to kisi ke liye rukta nahi,,, ghari to ishare karti hi hai par kudrat se bach kar kahan jayenge?? Sham ka dhalta suraj bhi keh raha tha bas Kuch Hi Waqt Hai Is Lamhe Ke Liye....Bina waqt zaya kiye hath me chai le kar baith hi gaye,,, ab jis kaam ke liye aaye wo bhi to karna tha... Garam- Garm Chaaii Ki ek sip lena aur Intzaar karna kabhi kabhi sach me mushkil ho jata hai....... 

     Aur phir ek baar Kuch- Baatein adhoori hi sahi........aur ye intezaarrrr bus......


. Intzaar rahega