Monday, January 27, 2014

Tera ZiKra.....Phir Yuhin.....




Ek nazm aisa likhu
Jisme sirf tera zikra ho
Ye baat sirf tere mere
Darmiyan ho,

Us me zikra karu
Tere labon pe aai
Har baat ka, 
Tere zehan me aaye
Har khayal ka,

Teri aankhon se padhu
Jo tham kar tera hath
Phir muskura kar keh dun
Kya kya likhu batao na is baar? 



Keh do ki is nazm me
Ho mera hi zikra har baar
Maine to jee li wo "shaam"
Tumhari nazron se phir ek baar,

Jaane do kuch vaakya
rehne do adhure 
Ye baat, ye shaam
Rehne do tere mere hi darmiyaan,

Ek nazm aisa likhu
Jisme sirf tera zikra ho
Tere khayalon ki kalam ho
Aur Yaadon se bhare panne ho.. 



Badalon me chupi tasveer ko
khojta hun main
us naarangi aasman me
kho jata hun main,

chhap chhap ki boondon se
pet bharti hari-hari pattiyan,
mitti ki sondi sondi mehak
ehsaas liye phir
sochta hun main....

Ek nazm aisa likhu
Jisme sirf tera zikra ho
Tere khayalon ki kalam ho
Aur Yaadon se bhare panne ho.. 


Yun Khuda bhi apni kudrat par
itna itraata hoga
jaane kaise kaise khayal
apne jehan me laata hoga,

kar garoor tu apni kudrat par
hai sach to yahi
dhundh leta hun main 
sou bahaane jeene ko,

zara tham jaye hawa..
meri soch ne le li hai karwatein
mera ehsaas kiye
tu uska aurr jana


keh dena-
har shaam hoti hai mulaqat
tere naam se, tere khayal se
ab to lagta hai
ye hawa bhi karti hai saazish,

har shaam tu apne khayal me
lena mera naam
ban kar tere chehre hi muskaan
pahunch jaungi tere paas.

Ek nazm aisi likhu
Jisme sirf tera zikra ho
Tere khayalon ki kalam ho
Aur Yaadon se bhare panne ho...

No comments: