Saturday, September 17, 2016

IQRaaaaaaR.......yea INKaaaaRRRRR

Kabhi iqrar kar lena... kabhi inkar kar layna
kahaan say tum nay seekha hai anokha pyar kar lena,


Sab Kuch Khuda Ne Tum Ko Bhala KaiseyDe Diya
Mujhe To Uske Dar Se Sirf Inkaar Hi Mila hey
jab tera poochta koi to mein kuch nahin kehta
dil mein tere wajood se inkar nahin kerta
mana ki tum ne kabhi iqrar nahin kiya
to phir kiyon maire iqraar ka inkaar nahin kiya...


kabhi chahat say tum magloob ho kar muskura deyna
kabhi kuch sochna or soch kar inkaar kar lena,
is se pehlay ke ghuttan badh jaye
honth khamosh rahen aur thakan badh jaye,
lamha-e-iqrar guzar jaye harf mar jayen
kiun zamaney se daren aao koi baat karen,
Mere dil-e-devana ki hasrat bhi nikal jaay
Jhuta hi sahi, ker lain woh iqraar-e-muhabbat!


kabhi kisi se pyaar mat karna,
ho jaaye to inkaar mat karna!
nibha sako to chalna uski raah par,
varna kisi ki zindagi barbaad mat karna!


har inkaar tere iqraar se acha hoga,

mera har din teri us raat se acha hoga
na ho yaqeen to jhaak lena apni doli se
mera janaza teri baraat se acha hoga...


Chehrey Per Banawat Ka Ghussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.


Izhaar-e-vafaa tum kiya jaano iqraar-e-vafaa tum kiya jaano
Hum zikr karenge gairon kaa aur apni kahaani keh deinge
Mohabbat to hai iqrar ki mohtaaj
Tum apna har lafz har sher merey naam kardo
Tum na mangi bhi to sirf judai mangi
Aur hum thae ka humain inkar na karna aya
Musalsal Khamoshi Yohn Bhi Tu Hum Ko Mar Dalay Gi
Tu Phir Ab Khof Kaisa Hay Chalo Inkar Kartay Hain

~
Kabhi iqrar kar layna kabhi inkar kar layna
kahaan say tum nay sekha hai anokha pyar kar lyna
Sab Kuch Khuda Ne Tum Ko Bhala KaiseyDe Diya
Mujhe To Uske Dar Se Sirf Inkaar Hi Mila hey
jab tera pochta koi to mein kuch nahin kehta
dil mein tere wajood se inkar nahin kerta
mana k tum ne kabhi iqrar nahin kiya
to phir kiyon maire iqraar ka inkaar nahin kiya


kabhi chahat say tum magloob ho kar muskura dyna
kabhi kuch sochna or soch kar inkaar kar lyna
is se pehlay ke ghuttan barh jaye
hont khamosh rahen aur thakan barh jaye
lamha-e-iqrar guzar jaye harf mar jayen
kiun zamaney se daren aao koi baat karen
Mere dil-e-devana ki hasrat bhi nikal jaay
Jhuta hi sahi, ker lain woh iqraar-e-muhabbat!



har inkaar tere iqraar se acha hoga
mera har din teri us raat se acha hoga
na ho yaqeen to jhaak lena apni doli se
mera janaza teri baraat se acha hoga
Chehrey Per Banawat Ka Ghussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,


Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.
Izhaar-e-vafaa tum kiya jaano iqraar-e-vafaa tum kiya jaano
Hum zikr karenge gairon kaa aur apni kahaani keh deinge
Mohabbat to hai iqrar ki mohtaaj
Tum apna har lafz har sher merey naam kardo
Tum na mangi bhi to sirf judai mangi
Aur hum thae ka humain inkar na karna aya
Musalsal Khamoshi Yohn Bhi Tu Hum Ko Mar Dalay Gi

Tu Phir Ab Khauf Kaisa Hay Chalo Inkar Kartay Hain...

No comments: