Tuesday, November 19, 2013

Main Aaina Tha,Wo Mera Khayaal Rakhti Thi,...





Main aaina tha,wo mera khayaal rakhti thi,
Main toot-ta tha to chun kar, sambhaal kar rakhti thi...



Har ek maslay ka haal nikaal rakhti thi,
Zaheen thi,mujhe Hairat mein daal ke rakhti thi...



Main jab bhi Tark-e-Taaluq ki baat karta tha,
wo Rokti thi mujhe,kal pay taal kar Rakhti thi...




Wo mere dard ko chunti thi apni pairon se,
wo mere wastay khud ko Nidhaal rakhti thi...

Wo Doobne nahi deti thi dukh ke darya mein,
mere wajood ki nauw Uchaal rakhti thi...



Duaain us ki Balaun ko rok leti thin,
wo mere chaar sau Hathon ki Dhaal rakhti thi...



Ik aisi Dhun ke nahi phir kabhi main ne suni,
wo munfarid9unique) sa Hansi mein kamaal Rakhti thi...



Use Nadamatain meri kahan Gawara thin
wo mere waste aasaan Sawaal rakhti thi...



Bichar ke us se main Dunya ki Thokaron mein hon,
wo paas thi to mujhe La zawaal (jhukne nhi dena) rakhti thi...



Sahar tha naam,ujaale Ghulam the us ke,
wo zindagi k Andhairay ujaal rakhti thi...



Wo muntazir meri Rehti thi Dhoop mein,
main laut-ta tha to Chaoun Nikaal Rakhti thi...


No comments: