Monday, November 4, 2013

"Wo Pagal Si Ek LadKi...Tum He to Ho"




Bahar se nafrat thi,


Par dil mein woh mere basti thi,



Wo PAGAL si ek ladki,



Jo dekh ke mujhko hamesha hansti thi...



Kyun thukraya maine  ansuni maang ko uski,

Soch ke ab pachhtata hu,


Dil ke badle dil manga tha,



Kya yahi mera Pachtaawa tha...






Kisse puchhu ???kaise puchhu ???


Ab kahan gayi wo,

Kyun nahi deti ab dikhaayi wo,



Jab roz guzarti thi "wo" is  raah se...




Dard chhupa kar jeena uski,


bahut purani aadat thi,



Bheetar-bheetar khub roti thi wo,

bahar-bahar hansti thi...







Wo PAGAL si ek ladki...



Woh Ek Larki Jo Meri Ghazal Hai,

Woh Ek Larki Jo Khilti Kanwal Hai,


Woh Ek Larki Jo Husn - e Malikkae Hai,


Woh Ek Larki Tum Hi To Ho...



Wo PAGAL si ek ladki...



Woh Us Ki Gasoo Kaali Ghatain,


Woh Us Ki Palkon Se lehraati Hawain,


Woh Us Ki Yaadain, Meri Wafaye,


Woh Ek Larki Tum Hi To Ho...


Wo PAGAL si ek ladki...






Woh us Ki Aankhain Chamakte Moti,


Woh Us Ki Palken Aankhon Ko Chooten,


Woh Us Ke Gaal Sehra-e-Moti,


Woh Ek Larki Tum Hi Tu Ho...



Wo PAGAL si ek ladki...





Woh Us Ke Lab Gulab Pankhuri Jaise Hoth,

Woh Us Ka Maatha Khuli Kitab Jaisa,

Woh Us Ki Rangat Shabab Jaisi,



Woh Ek Larki Tum He To Ho...


Wo PAGAL si ek ladki...

Tum He To Ho...



No comments: