Tuesday, November 26, 2013

HAPPY BIRTHday Msg (previous year & this year)

HAPPY BIRTHDAY MSG



Ye  msg kar kisi ke life me bahut zyada mayne rakhti hai.Chahe wo anjaani/ anjana  ho yea jaane wala/wali ho. Agar kisi anjaane ne ye msg kiya to aapko bahut zyada bechaini…dil me tadap hone lagti hai…aap sochte rehte hain kaun hai ye???kya main ise janta hun??yea main kabhi mila hun???call back karke yea kisi reference ke through aap uske bare me pata lagane ki koshish karte hain…lekin appko kuch nhi milta….lekin…LIFE me ye har baar nhi hota hai…

                                Mere life me ye peechle do baar hua…mere birthday pe…sirf do words…”HAPPY BIRTHDAY”…one on FACEBOOK and second one at VIBER…AAP bhi janti ho ki aapne ye msg mujhe sirf peechle saal aur is saal send kiya tha…aapne apne aap ko kaise sambhala hai main bhi ache se janta hun aur aap bhi bahut ache se janti hai…

                Ab mujhe to pta nhi ki wo msg sirf ek formality ke taur pe aapne kiya tha yea uska koi uddhesya tha…yea aapke paas koi majburi…koi wajah thi…mujhe pata hai hume apko aur apko hume bhulnana asaan nhi hai…is life me to bilkul nhi…

Doosra saal bhi guzar jayega…lekin aapke msg aate rahe yahi main dua karta hun…mere liye aaj bhi us msg ki bahut zyada dil se value hai….wo kyun hai iska jawaab aap mujhse behtar janti ho….mujhe yakin hai ki main jo bol raha hun ap bilkul samjh rahi hogi…

Mere liye koi bhi cheezen bhulana aasan nhi hota….chahe wo kuch bhi ho…aur apse related sabhi kuch mere jehen me maujud hai….wo bus gyi hai…wo kahin nhi jayegi….wo dil k eek kone me simat gyi hai…Hume jab kabhi milne ka mauka milega to wo sab baton ka jawaab chahunga main….mujhe umeed hai ki aap mana nhi karegi…WAJAH bhi puchunga…kuch khyaal bhi rakhunga….AAKHIR KYUN????Aur mujhe pura yakin hai ki hum zarur milenge kahin na kahin…HUM HAI RAAHI PYAAR KE..PHIR MILENGE CHALTE CHALTE…us samay humare aankho se aansu chalkenge wo KHUSI ke honge …lekin mujhe aapki aankho me aansu dekhna pasand nhi hai ….bilkul nhi….

Aapke liye mere dil me…hamesha se respect,ijjat thi…hai aur rahegi…bus main yahi jaanta hun ki zindagi hamare hisaab se nhi chalti hai….wo hume chalati hai….AAJ mujhe bahut kuch aapse share karne ko dil chahta hai….phone uthata hun…number lagata hun…lekin cut kar deta hun…msg likhta hun lekin delete kar deta hun…whatsapp dekhta hun lekin…bus LAST seen reh jata hai…kya karun …dil majbur ho jata hai…aapke liye…aapne hi kaha tha ki AGE badho…go in ur life,move ahead… I m doing n I m happy …I think ki aap bhi mere liye khush hoti hai hamesha…AAp bhi khush rahiye…don’t feel low n down n life lambi hai…we will meet some day…for sure..

Last me bus itna bolna chahta hun ki ..HAPPY BIRTHDAY TO U to sirf ek bahana hai aapki yaadon ko dil me aur jagah den eke liye…

THIS IS FOR US:
“Aapki yaad kaise aayegi, ye aap kyun samajh na paate hai…
Yaad to sirf unki aati hai, JINHE hum kabhi bhul jaate hai..


So just be positive n don’t feel down and all….

 Please I m requesting to u …n I m with u in any form forever….i m always taking u in my prayers…Miss u …bada cheeku…JJJJJJJJJJJJJ




Tuesday, November 19, 2013

Main Aaina Tha,Wo Mera Khayaal Rakhti Thi,...





Main aaina tha,wo mera khayaal rakhti thi,
Main toot-ta tha to chun kar, sambhaal kar rakhti thi...



Har ek maslay ka haal nikaal rakhti thi,
Zaheen thi,mujhe Hairat mein daal ke rakhti thi...



Main jab bhi Tark-e-Taaluq ki baat karta tha,
wo Rokti thi mujhe,kal pay taal kar Rakhti thi...




Wo mere dard ko chunti thi apni pairon se,
wo mere wastay khud ko Nidhaal rakhti thi...

Wo Doobne nahi deti thi dukh ke darya mein,
mere wajood ki nauw Uchaal rakhti thi...



Duaain us ki Balaun ko rok leti thin,
wo mere chaar sau Hathon ki Dhaal rakhti thi...



Ik aisi Dhun ke nahi phir kabhi main ne suni,
wo munfarid9unique) sa Hansi mein kamaal Rakhti thi...



Use Nadamatain meri kahan Gawara thin
wo mere waste aasaan Sawaal rakhti thi...



Bichar ke us se main Dunya ki Thokaron mein hon,
wo paas thi to mujhe La zawaal (jhukne nhi dena) rakhti thi...



Sahar tha naam,ujaale Ghulam the us ke,
wo zindagi k Andhairay ujaal rakhti thi...



Wo muntazir meri Rehti thi Dhoop mein,
main laut-ta tha to Chaoun Nikaal Rakhti thi...


Thursday, November 7, 2013

Kal MiLi THi SafAr me...EK AJNABEE....




Kal mili thi safar me ek ajnabi yun hi ....
jana to tha wahin jahan manjil thi meri... 
fir na jane kyun beech raah me utar gyi vo.....



kuch leke to naa gyi sang apne.... 
par kuch bhool gyi jo hai paas mere....
shayad kuch lamhe hain vo....

 kuch kahe to kuch unkahe hain vo...


kuch bhooli bisri yaadein hain... kuch pyaar bhari baaten hain....!!
kuch sapne hain jo dekhe the usne kisi aur ki aankhon se...




kuch kahaniyan jo sunati thi vo mujhe anjaan raston pe …..
aansu hain jo gire the mere daaman pe uski aankhon se chalak kar….



Vo khushbu hai saanson me…jo di thi usne gale mil ke….
Kuch ruswaaiyaan thi uski ….. kuch shikayaten thi meri…



Kuch vaade the uske… Kuch Mannatein thi meri…!!
Sab yahin chhod gyi hai…..

 Jane vo kyun mujhse mooh mod gyi hai…


jane kaisa hogi vo in sab ke bina…
Shayad adhura sa… ya fir akela tanha….




Musafir tha kashti ka…. Kinara dekh kar utar gya….
Ab raah takna bhi shayad theek nahi …. 
Koi vada thode hi ki thi usne lautne ka…!!



Par shayad mujhpar uska karj baki hai abhi….
Isliye seene me bhi dard baaki hai abhi…………………!!



Pal me hi bichhad gayi vo….
Pal me hi badal gayi vo….
Kal tak jo saath thi mere…
Pal me hi jaane kahan kho gayi vo…!!


Pal mein saara manjar badal gaya…
Khushi ka jaamana dukh ki raat me badal gaya….
Main khada hi rah gaya…
Aur vo bhut door nikal gai…!!

Main nahin jaanta ki agale pal kya hoga mere sath…
Par jise chaha tha bas wahi naa hogi mere paas…!


Meri zindagi ab badal hi jaayegi….
Chahat meri ab sapno me hi so jayegi…!!

Har waqt jiske intejaar me tha gujaara….
Usne hi naa mujhe dil se pookara…..!!


Har lamha jiski soch me ye dil dooba raha….
Usi ki amaanat hai ye ki….
Dil ab hai dard sah raha …!!


Monday, November 4, 2013

"Wo Pagal Si Ek LadKi...Tum He to Ho"




Bahar se nafrat thi,


Par dil mein woh mere basti thi,



Wo PAGAL si ek ladki,



Jo dekh ke mujhko hamesha hansti thi...



Kyun thukraya maine  ansuni maang ko uski,

Soch ke ab pachhtata hu,


Dil ke badle dil manga tha,



Kya yahi mera Pachtaawa tha...






Kisse puchhu ???kaise puchhu ???


Ab kahan gayi wo,

Kyun nahi deti ab dikhaayi wo,



Jab roz guzarti thi "wo" is  raah se...




Dard chhupa kar jeena uski,


bahut purani aadat thi,



Bheetar-bheetar khub roti thi wo,

bahar-bahar hansti thi...







Wo PAGAL si ek ladki...



Woh Ek Larki Jo Meri Ghazal Hai,

Woh Ek Larki Jo Khilti Kanwal Hai,


Woh Ek Larki Jo Husn - e Malikkae Hai,


Woh Ek Larki Tum Hi To Ho...



Wo PAGAL si ek ladki...



Woh Us Ki Gasoo Kaali Ghatain,


Woh Us Ki Palkon Se lehraati Hawain,


Woh Us Ki Yaadain, Meri Wafaye,


Woh Ek Larki Tum Hi To Ho...


Wo PAGAL si ek ladki...






Woh us Ki Aankhain Chamakte Moti,


Woh Us Ki Palken Aankhon Ko Chooten,


Woh Us Ke Gaal Sehra-e-Moti,


Woh Ek Larki Tum Hi Tu Ho...



Wo PAGAL si ek ladki...





Woh Us Ke Lab Gulab Pankhuri Jaise Hoth,

Woh Us Ka Maatha Khuli Kitab Jaisa,

Woh Us Ki Rangat Shabab Jaisi,



Woh Ek Larki Tum He To Ho...


Wo PAGAL si ek ladki...

Tum He To Ho...



Friday, November 1, 2013

"Is DiL KI BAat, USke DIL Tak"...





Labon pe aaj unka Naam aa gaya,
Pyaase ke paas jaise Jaam aa Gaya...
Dole kadam to gire unki Baahon mein jaa kar,
Aaj Hamara Peena hi Hamare Kaam Aa Gaya...

Nafrat tum Kabhi na Karna Humse,
Hum yeh sah nahi payenge...
Ek Baar Keh Dena Humse "Jarurat Nahi ab Tumhari",
Aapki Duniya Se hans Kar Chale Jayenge...

Tere Dil Ko Sajayange apne armaan dekar,
Tere labon ko Hasayange apni Muskaan dekar...
Dosti ki Kasam Tuje Kafan Se Utha le aayenge,
Tere Jism Mein Apni JAAN dekar...

Phool Hote to teri Raahon mein bichh jaate hum,
Gum hote to tujhe Kabhi na Satate hum...
Yeh aur baat hai ki teri Jaan Hai Hum,
Na hote to bhi, to tum pe JAAN lutate hum...



Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari...
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho "jaan"(shonaaa) hamaari...




Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga...
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye mere shonaaa,
Tu mere dil ke aur bhi kareeb aane laga !

Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari...
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari ...

Jazbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge...
Pyaar, Mohabbat aur Ishq ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par aye dost hum tumhe badnaam na hone denge...


Love Shayari

Tujhe Ansu bhari who Dua mile Jise Kabhi
na inkar khuda kare, Tujhe
Hasrat Na Rahe Kabhi Jannat ki Tere
Aangan mein Mohabbaton ki aisi hawa chale...

Lab Khulte Hai... Band Ho Jaate Hai,
Sacche Dost Milte Hai Bichad Jate Hai...
Per Jab Saath Bitaye Din Yaad Aate Hai Toh,
Hansti Aankhon Se Bhi Aansoo Nikal Aate Hai...






Aapse Dur Bhala Hum Kaise reh paate,
Dil Se aapko Kaise Bhula paate...
Kaash ki aap sanso ke alava aaine mai bhi base hote,
Khud ko bhi dekhte toh aap NAZAR aate...

Kisi Khush Naseeb ki Taqdir hai aap,
Khwaabo ki sachchi tasvir hai aap...
Aur kya kahe aapki shaan main,
Mere hathon ki pyaar ki muskaan hai aap...


Sher Shayari

Rishton ki Dori Kamjor Hoti Hai,
Aankhon ki baaten dil ki chor hoti hai...
Khuda ne jab bhi puchha dosti ka matlab
Hamari ungli Hamesha aapki or hoti hai...


Ek hi nazar main aap dost ban gaye,
do baatein hamne ki, ke sara jahan ban gaye...
Pass rehkar bhi log hamare ban na paye,
Door rehkar bhi aap khaas ban gaye...


Humne to har manjilon ko apka raasta dikhaya,
Apki ibadat ki, apko mehfuz kiya....
Shaan - e Shirkat mehfil me hum hona chahte the,
Bus apne hi mujhe AAP se DOOOOOR Kiya....




Tuesday, October 29, 2013

"Ab NeenD Mujhe Aati Nahi...."



Rahte hain unke khayaalon me,
Ab neend mujhe aati nahi,
Hanste hain ab jab bhi hum,
bas yaad unhi ki aati hai...

Wo uski meethi muskaan,
humara dil dhadkaati hai,

Jaagte sote - har pal hi,
unki yaad hume tadpaati hai...


Bas ek jhalak unki paa kar,
hum khush ho jaaya karte hain,

Jab bhi wo aate hain saamne,
hum chup ho jaya karte hain...

Bolta hai ... per dil mera,
kuch bol sake to tu kah de,

Par sochta hoon main,
is baat se, mera dil use naa kho baithe...

Wo dost nahi mera sab kuch hai,
ye kaun use batlaaye,

Kaas waqt ke saath hi,
wo apne aap samajh paaye...


Aye ...shonaaa...... ab teri yaad me,
kisi kaam me ruchi nahi,

Dil me tum, dhadkan me tum,
aur baat kisi ki bachi nahi...

Rahte hain tumhare khayaalo me,
ab neend mujhe aati nahi.....

Monday, October 28, 2013

Wo Kuch Hamare BeeTein Lamhe.....





Kal raat ko jab main sone ke liye jaa rha tha to mujhe AAPKI bahut zor se yaad aa rhi thi....pta nhi kyun??? bahut zyada fikr ho rhi thi....lag rha tha maano jaise meri zarurat ho aapko..par kya karta bahut dil ko samjhaya....pray kiya bhagwaan se ki kuch bhi ho bus AAP theek raho....kuch bhi tabyt me problm ho jaye to theek ho jaye...

Kuch dino se whatsapp me SEEN dekh rha hun...kisi kisi din to morning me aap 5.02am yea 5.23am pe apka last seen hua karta hai....itne der tak kyun jagte ho aap...??? kya hua hai aapko??? Raaton ko aap bechain kyun ho jaate ho???Baaki time to whatsapp sahi dikhta hai....main puch to directly sakta nhi hun...lekin ans bhi nhi maang rha hun...bus zyada tension mat lo....aapke liye aaj bhi mere andar pehle wali sab kuch YAADEIN hain.....kuch nhi bhula main...din se raat aur raat se din tak sab kuch achcha lagta hai...lekin thoda rukhapan lagta hai LIFE me....AAP nhi ho to hansi chali gyi hai....chaain chhin gya hai....dil ko sambhal raha hun to gussa aa jata hai kabhi kabhi....phir shaant hota hun...

AAPNE kaha ki aap radio sunte time song suna ki "Har kisi ko nhi milta.....", actually me jab bhi ye song sunta hun tabhi ph uthata hun...phone pe number aapka dial karta hun...aur cut karta hun bahut soch ke...Kya karun yea kya na karun...isi ksmakash me rehta hun....



AAPNE ye bhi kaha ki 
"he closed all the doors of his heart for me."
...aisa kuch nhi hai....main aaj bhi aapko utna hi chahta hun....kaise samjhaoun aapko...par itna samjhta hun ki aap aaj bhi mujhe utna hi chahti hai.....yea usse zyada hi....main bhi aapko bahut yaad karta hun aur bhi bahut kuch.....

Mujhe aaj bhi nhi pata hai ki AAPKI aisi kya MAJBURI thi jise aapne likha ki 
"wo tha meri zindagi par kya karu majboor thi mai yeh ye kahe lo majboor kar diya ga usse chorne par." 
Please aap mujhe ye to bata dijiye ki kya thi wo wajah???Kisne aapko majbur kiya aur kis wajah se??? Please mujhe jaanana hai ....itna to aap kar hi sakte ho....Please main to request hi kar sakta hun....



"MAIN aapke liye aaj bhi hun......KAL bhi tha....aur HAMESHA rahunga.....chahe duniya ke kisi kone me rahun...aur marne ke pehle zarur milunga......aapse bina mile meri AATMA ko shanti nhi milegi...."


Hume pata ki hum dono ne kaisa pyaar kiya tha...aur hamara pyaar karne ka zajbaa kahan tak tha....aapka har raat ko I LOVE U na....bahut saraaaa naaa......n muuuuaaaaaahhhh ke sath .... bol ke khaap khaap ke saath phone rakhna then sona....aur zyada paleshan karne pe NO bolna.....ab ye kaan taras gye hain mere....aur aapne mera naam acha kiya jo nhi liya ...nhi to mujhe aur aur apko bhi bura lagta yaad karke.....

Main AAPKO sab kuch life me haasil karke dikhaounga.....n u will be proud of me....i know that u always take me in the prayer to get success....i LOVE u all my heart ...forever....




Ye Song ke lines KHAAAS Apke liye:_

Mill jaaye hum toh
Sab kuch sahi hai
Phir iss tarah kyun, hain ajnabi
Tum mein hum hain
Hum mein tum ho
Tum se hum hain
Hum se tum ho
Kismaton se milte hain do dil yahaan...



And, Khaas AAPKE ...Liye....

TERI YAADEIN ke LiYE....


Teri yaadein...Mulakateen...
Main kaise bhuloon chahat ki wo barsaaten
Teri yaaden...Mulakaten...
Main kaise bhuloon chahat ki wo barsaaten
Tu hi mera dil
Tu hi meri jaaaan
Tu hi mera dil hai
Tu hi meri jaaaan...
Kabhi to paas mere aao
Kabhi to nazren mujhse milaao
Kabhi to dil se dil ko milao
oh jaaaanaaa.....
Meri jaan palken yun na jhukana
Meri jaan mujhse dooor na jana
Meri jaan mujh ko bhul na jana
oh jaaaanaaaaa........
Mujhe lauta deWo mera pyaar...
Mujhe lauta deWo mera pyaar...
Main tera hi deewana hun
Teri baaten kabhi main bhul na paaun
Main tera hi deewana hun
Teri baaten kabhi main bhul na paaun
Tu hi mera dil haiTu hi meri jaaaan
Tu hi mera dil haiTu hi meri jaaaan...
oh yaara...
kyun khafa ho mujhse
oh yaraa...
kyun juda ho mujhse
oh yaara...
Mera pyar hai tujhse
oh jaaanaaaaa......
Tere bin dil-lagi hai adhoori
Terebin ashiqui hai adhoori
Mujhe milna hai tujhse zaroori
oh jaaanaaa....
Mujhe lauta deWo mera pyaar...
Mujhe lauta deWo mera pyaar...
Kabhi to paas mere aao
Kabhi to nazren mujhse milao
Kabhi to dil se dil ko milao
oh jaaaanaaa.....
Meri jaan palken yun na jhukana
Meri jaan mujhse dooor na jana
Meri jaan mujh ko bhul na jana
oh janaaanaaa............................


I KNOW U R & U VL BE ALWAYS WITH ME and LOVING me....& MEE TOO...






Wednesday, October 23, 2013

"MohaBBAt SirF AhSaAS Hi RAh GyA..."



























Mohabbat sirf ahsaas hi rah gaya,
aaya toofan toh kafila bah gaya, 
wo utni hi mohabbat kiya karte the,
jitna mazbur unko dil kar gaya... 

shayad wo bahut khubsurat thi, 
yaa muje unsa koi dikhta na tha, 
par jo bhi thi ae -  khuda, 
dil toh unpe deewana ho gaya... 

wafa karenge humse wo, 
yeh yakin na kar paye hum,
wo yaad karte rahe hume raton ko, 
aur mai pareshan hota hi rah gaya...

berukhi aksar udasi mai badal gai, 
unki wafa bhi mujhe dikhti chali gayi, 
hum na samajh sake ki wo unka pyar hai, 
aur main bus apna pyaar jatata rah gaya... 

wo bekhabar thi mujh se,
ki itna pyar main kaise kar sakunga, 
wo khud ko sabit kar rahe thi, 
aur main khud ko sabit karta gaya... 


mera intejaar karna un raaho par, 
jaha bichde the hum un jagaho se, 
mai ik din fir wahi aaunga, 
jaha se tujh ko main chod gaya... 

yakin ki shama bujhne na dena, 
jo baat hai wo bus apne tak hi rakhna, 
duniya me phir milenge hum apne manjilon pe,
kabhi kisi yaadon me mujhe kho na dena...

wo janaje ke piche thi mere,
yaa kahi kone mai baithe ro rahe the, 
ab toh ruksat hi achi hai duniya se meri, 
warna mout ko main na pahunch gaya...